Bag om Junun / जुनून
JUNUN WO UDDAM ICHCHHAA HAI JO EK INSAAN KE SEENE MEN SUSHUPT JWAALAAMUKHEE KEE TARAH ANDAR HEE ANDAR AAG SULGAATEE RAHTEE HAI, AAG KAA DARIYAA BAHTAA RAHTAA HAI.JAB JWAALAA DHADHAKANE LAGTEE HAI TO DHARTEE KAA SEENAA CHEERKAR LAPTEN BAAHAR NIKALNE LAGTEE HAIN, LAAWAA BAH NIKALTAA HAI. TABHEE LOGON KO USKEE GARMEE AUR TAAKAT KAA EHSAAS HOTAA HAI.YAHEE JUNUN HAI JO INSAAN KE SEENE MEN DHADHAKTAA HAI .IS SHABD KAA PRAYOG ALAG ALAG SANDARBHON MEN ALAG ALAG TAREEKE SE KIYAA JAATAA HAI.MAINE PRERNAADAAYAK KAHAANIYON KE MAADHYAM SE YAH KAHNE KEE KOSHISH KEE HAI KI EK INSAAN KE LIYE JUNUN KE MAAYNE KYAA HAIN.IS DUNIYAA KAA POORAA ITIHAAS HEE INSAANEE JUNUN KAA GAWAAH HAI.AADIM AWASTHAA SE AADHUNIK INSAAN BANANE KEE KAHAANEE JUNUN SE BHAREE PADEE HAI.IS KAHAANEE SANGRAH KEE HAR EK KAHAAEE PRRERNAADAAYAK HAI.IN KAHAANIYON KE MAADHAYAM SE AAP JAAN PAAYENGE KI VIPREET HAALAATON MEN BHEE AAP APNE ANDAR KE JUNUN KEE AAG KO KAISE JALAAYE RAKHEN ......
Vis mere